Published 12:53 IST, December 31st 2019
Kader Khan's death anniversary: Check out the actor's most memorable dialogues
Kader Khan's roles in comedy movies have been widely praised by critics and the audience. Here is a list of some of his most memorable dialogues of all time.
Advertisement
December 31 marks the death anniversary of the iconic comedy actor Kader Khan. He was a critically acclaimed actor, screenwriter, and a comedian. Khan has worked in over 300 films after his acting debut in the 1973 film Daag. Read on to know more about the best dialogues by the actor.
Kader Khan’s best dialogues
Zinda hai woh log joh maut se takrate hai ... murdon se bhattar hai woh log joh maut se gabrate hai.
Auron ke liye gunaah sahi ... hum piye toh shabaab banti hai ... arre sau ghamo ko nichodne ke baad ... ek katra sharaab banti hai.
Zindagi toh khuda ki rehmat hai ... joh nahi samjha uski zindagi pe laanat hai.
Sukh toh bewafa hai ... chand dino ke liye aata hai aur chala jaata hai.
Zindagi mein toofan aaye, qayamat aaye ... magar kabhi dosti mein daraar na aane paye.
Mohabbat ko samajhna hai toh pyare khud mohabbat kar ... kinare se kabhi andaaz-e-toofan nahi hota.
Dukh jab hamari kahani sunta hai toh khud dukh ko dukh hota hai.
Haraam ki daulat insaan ko shuru shuru mein sukh zaroor dilati hai ... magar baad mein le jaakar ek aaise dukh ke sagar mein dhakel deti hai ... jahan marte dum tak sukh ka kinara kabhi nazar nahi aata hai.
Zindagi ka agar sahi lufz uthana hai na ... toh maut se khelo.
Daulat ka kya hai, woh toh aati jati rehti hai ... magar beti toh ghar ki izzat hai ... aur izzat ek baar chali jaye toh woh laut kar vapis nahi aaya karti.
Na pet mein dana hai ... na lote mein pani hai ... na bundle mein beedi hai ... na maachis mein teeli hai.
Kya ishq ka khoon kisi sahukar ke paan ki pichkari hai ... kya tumhari zindagi zindagi, hamari zindagi bimari hai ... tumhara khoon khoon, hamara khoon pani hai ... tumhara naam naam, hamara naam gaali hai ... tum karo zulm toh woh sarkari hai ... aur hum kare fariyad toh woh gaddari hai.
Updated 12:53 IST, December 31st 2019