Published 08:15 IST, December 27th 2020
On Mirza Ghalib's birth anniversary, here are his most profound shayaris
Mirza Ghalib was one of India's most renowned poets. On his birth anniversary, check out some of his most profound and well-known shayaris.
null | Image:
self
Advertisement
December 27 marks the 323rd birth anniversary of renowned Indian poet Mirza Ghalib. His works explored themes ov love, heartbreak and self-appreciation among others. On the occasion of Ghalib's birth anniversary, take a look at some of his greatest shayaris.
Also Read: Sonu Sood Describes Rising Coronavirus Scepticism In Ghalib Style Couplet, Netizens Agree
Ghalib's most profound shayaris
- hazāroñ ḳhvāhisheñ aisī ki har ḳhvāhish pe dam nikle, bahut nikle mire armān lekin phir bhī kam nikle
- Kahaan maikhane ka darwaaza Ghalib aur kahaan waiz, Par itna jaantay hain kal woh jaata tha ke ham niklein
- un ke dekhe se jo aa jaatī hai muñh par raunaq, vo samajhte haiñ ki bīmār kā haal achchhā hai
- haiñ aur bhī duniyā meñ suḳhan-var bahut achchhe, kahte haiñ ki 'ġhālib' kā hai andāz-e-bayāñ aur
- bāzīcha-e-atfāl hai duniyā mire aage, hotā hai shab-o-roz tamāshā mire aage
- ishq ne 'ġhālib' nikammā kar diyā, varna ham bhī aadmī the kaam ke
- is sādgī pe kaun na mar jaa.e ai ḳhudā, laḌte haiñ aur haath meñ talvār bhī nahīñ
- mohabbat meñ nahīñ hai farq jiine aur marne kā, usī ko dekh kar jiite haiñ jis kāfir pe dam nikle
- ye na thī hamārī qismat ki visāl-e-yār hotā, agar aur jiite rahte yahī intizār hotā
- ishq par zor nahīñ hai ye vo ātish 'ġhālib', ki lagā.e na lage aur bujhā.e na bane
- rañj se ḳhūgar huā insāñ to miT jaatā hai rañj, mushkileñ mujh par paḌīñ itnī ki āsāñ ho ga.iiñ
- reḳhte ke tumhīñ ustād nahīñ ho 'ġhālib', kahte haiñ agle zamāne meñ koī 'mīr' bhī thā
- ham ko un se vafā kī hai ummīd, jo nahīñ jānte vafā kyā hai
- aage aatī thī hāl-e-dil pe hañsī, ab kisī baat par nahīñ aatī
- ham ne maanā ki taġhāful na karoge lekin, ḳhaak ho jā.eñge ham tum ko ḳhabar hote tak
- merī qismat meñ ġham gar itnā thā, dil bhī yā-rab ka.ī diye hote
- karne ga.e the us se taġhāful kā ham gila, kī ek hī nigāh ki bas ḳhaak ho ga.e
- ham vahāñ haiñ jahāñ se ham ko bhī, kuchh hamārī ḳhabar nahīñ aatī
- hogā koī aisā bhī ki 'ġhālib' ko na jaane, shā.ir to vo achchhā hai pa badnām bahut hai
- har ek baat pe kahte ho tum ki tū kyā hai, tumhīñ kaho ki ye andāz-e-guftugū kyā hai
Ghalib and his works have had a strong influence on the Indian subcontinent. There have been many movies and TV shows based on him that have received widespread critical acclaim. He has also had a massive influence on the theatre scene in India and Pakistan.
Updated 08:15 IST, December 27th 2020